Assalamu Alaikum bachon! Aaj hum ek zabardast kahani sunayenge jo Islam ke bare mein hai. Ye kahani aapko Allah ki rehmat aur pyar ke
AF Mobile City AF Mobile city
Ek martaba ka zikr hai, ek chota sa larka tha jiska naam Ahmed tha. Ahmed bohot zyada curious tha aur hamesha Allah ke bare mein sawalat poochta rehta tha. Ek din, Ahmed ke dada unhein ek khubsurat jaga le gaye jahan masjid thi. Wahan Ahmed ne namaz parhte logon ko dekha aur dada se poocha, Dada, yeh log kya kar rahe hain?Dada ne muskurate hue jawab diya, Ahmed, yeh log Allah ke samne namaz adha kar rahe hain. Namaz Allah ki ibadat ka tareeqa hai aur humein din mein paanch martaba namaz parhni chahiye. Ahmed bohot impress hua aur usne bhi namaz seekhne ka irada kiya.Dada ne usko bataya ke Islam me sirf namaz nahi, balke aur bhi bahut se ache amal hain jo Allah ko pasand hain. Jaise ke, sachi baatein karna, doston ki madad karna, aur mummy-papa ki baat manna. Ahmed ne yeh sab baatain yaad kar li aur waada kiya ke wo bhi Allah ko khush karega apne ache aamal se.Ahmed ne apne dada se aur bhi kahaniyan suni aur har roz kuch naya seekhta gaya. Ahmed ne samajh liya ke Islam ek roshni hai jo humein raasta dikhati hai aur ache insaan banati hai.